Thesoul_healing Read Count : 109

Category : Adult

Sub Category : Adult Fantasy
Aik he dua ka bar bar khyal ana bilawja to nahi hai. Allah ny tumhay dua ki tofeeq di hai bilawja to nahi hai. Us kay samny lahasil karny ki iltaja karny ki tofeeq di hai to ye sab bilawaja to nahi hai. Wo zaat jis ki tofeeq he say hum sans ly rahy hai. Wo zaat tumhary dill mai dua ka khyal dalny say pehly he waseely bna daita hai. Dua to Allah nay tum KUN say nawaznay kay lye banai hai. Phir wo takleef jo tumhay Allah kay qareeb kar dy, tumhay dua mangna sekha dy, tumhay tahjjud kay lye uthnay pay majboor kar dy to ye mou'jzay say kam to nai hai. To phir btao is tooty huy dill ko kay ye sab bilawja nahi hai. Wo Rab tumhari hr khoi hui chees wapis us ki jaga pay rakh daita. Bs ye imtehan hai tumhary sabar ka, tmhari bardasht ka imtehan hai, khud kay lye kitna sabar karty ho us ka imtehan hai. Wo to chata hai kay us say manga jai ye us ki shan hai ku kay wo badshah hai. Wo dillo kay hal janta hai, dua'ou ki ta'rap jant hai. Wo jo tum bin khay dua'ay mangty ho us ki bhe khabar hai us ko. Rab farmata hai "Baishk Wo Janta Hai Jo Bat Tum Pukar Kar Kaho Or Janta Hai Jo Tum Chupaty Ho" (21:110). Wo hmary dill say us lahasil chees ka khyal nahi nikalta ta kay hum us say bat kary, us say yakeen kay sath mangy, itna manga, itna mangy kay us ko hmari yakeen ki ye ada passand ajai or wo KUN farma daiy. Yad rakho wo dua'ay zrure qabool farmata hai bs zerye muhtalif hoty hai. Agr dua ki qabooliat mai dair ho re hai is ka mtlb ye nai kay mangna he chore do or mayoos ho jao. Dua'ay mangty raho ya tak kay agy kuch mumkin nazar na ata ho phir bhe mango yakeen kay sath mango. Allah farmata hai "Insan Kay Lye Woi Kuch Hai Jis Ki Wo Koshish Karta Hai" (53:39). Or yakeen karo dua he wo akhri or akloti koshish hai jo tumhary Rab ko razi kar skti hai, dua he wo ak hathyar hai tumhary pas jisy Allah kabi nai morta. Jo behter hota hai tumhary lye us pay KUN farma daita hai or jo behter nahi hota usy tumhary haq mai behter bana daita hai♥️-Hajra Javed

Comments

  • Mar 26, 2022

  • Apr 01, 2022

Log Out?

Are you sure you want to log out?