MERA HINDUSTAN Read Count : 112

Category : Poems

Sub Category : N/A

Main hoon Hindustan meri sanskriti hai meri pehchan
Meri Azadi ke garbh me chhipi hai na jaane kitni kurbaniyon ki dastan
Chand khudgarj logo ke lalach ki bhent chada diya gaya bhai bhai ka pyar
Kabhi na kisi ne dekha tha apas me nafrat ka koi bhi gubbar
Hum unpe marte the to jaan vo bhi hamare liye the dete
Na jaane kisne failayi nafrat ki aag jisme jhonj diya apas ka pyar
Hashr jo hua tab na bhool sakenge kabhi rahega bachebache ki zuban per
Azadi mili per na jane kitni kurbaniyan aur veeron ka lahu bahakar
Na bhule hain Bhagat Singh, Rajguru aur Sukhdev  kaise hue the kurbaan
Apne Desh ki khatir haste haste suli per  chad gaye
Un jaise veeron ke khoon se ranga hai mera Tiranga mahaan
Àaj agar hum azad hain to ye unhi ka hai hum pe upkar
Ye karz hai unka hum per usko chukana farz hai hamara
Rok do ab to nafrat ki aandhi pehchano asli dushman jo hai hamara
Apas me na koi fark hai na hai pyar me kami aaj bhi hamare
Ye chand satta ke lalachioyon ka banaya khel hai sara
Aiye hum mil jul kar prem se rahen aur aage badayen apne desh ko
Unchaiyon per le jayen apne desh ko har keemat per aur sada JHANDA UNCHA RAHE HAMARA🙏

Comments

  • 🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

    Aug 13, 2021

Log Out?

Are you sure you want to log out?