Chhupi Hui Si Baat Read Count : 109

Category : Poems

Sub Category : N/A
Kis kis ko samjhaun ye baat
Jo chhupi hui si hai is dill may
Kis kis ne jheli hogi wo raat
Andheri si jo guzarti hai khiza may

Andhero may bhi hota hai ek rasta roshni ka
Kiu milta hai wo mushkil se
Mushkil may bhi hota hain ehsaas asanio ka
Kiu hoti nhi phir bhi umeed bande ko Allah se

Na Jane Kahan milta hai sahara aur sahara dene wale log
Khushnaseebi si lagti hai agar koi batne lagta hai dard ko
Kami si hoti hai khushio may agar mojood na ho chahne wale log
Badnasibi bhi mehsoos karta hai dill jo sehta hai karwahat ko

Bolna asan nhi hota in bato ko jo dil may har waqt rehti hain hamesha se
Asan to bas soch hoti hai jis ko koi kabhi nikal nhi sakte zehen se 

Comments

  • No Comments
Log Out?

Are you sure you want to log out?