Mere Papa Read Count : 137

Category : Poems

Sub Category : N/A
Paison walon ko apne bacho ko
Padhate dekha hai
Par paisa na Hote hue bhi
Sare paise hame padhane me laga rahe 
Wo hai mere papa
Jaha Sab apni jaruratein 
Puri karne me lage hain
Mehngi ghadi,naye kapde or
Apne Aap ko dusre se behtar sabit 
Karne me lage hain 
Waha ek purani shirt or ghisi 
Hui chappal
Me gujara karne wale 
Hain mere papa
Paise na Hote hue bhi 
Hame mehngi or 
Achhi college me 
Sikchha dene wale hain
Mere papa
Ham jaha rahte hain
Waha Ki betiyan 
Ghar ke bahar ja ke 
Nahi padhti 
Par hame bahar or swatantra 
Rahne ki chhut dene 
Wale hain mere papa 
Logon ko kamate dekh kar 
Badi gadiyan or gharon 
Me rahte dekha 
Par unhi paison ko
Apni betiyon ko padhane 
Or Achhi zindagi me laga de
Wo hain mere papa 
Itni sari gum ko apne andar 
Me chhupa ke rakhkar hame 
Hasane wale hain 
Mere papa
Logon se suna beta 
Ghar ka chirag hota hai
Magar hame apna chirag 
Batane wale hain 
Mere papa 
Jaha apni itni sari
Khwahisein hain unki
Magar ek baat bolne par
Pahle hamari khwahisein 
Puri karne wale hai
Mere papa.. 
@Neha mishra 


Comments

  • No Comments
Log Out?

Are you sure you want to log out?