Zindagi Ki Shachayi Read Count : 75

Category : Poems

Sub Category : N/A
Zindagi sirf do pal ki hoti hai
Hum is ko bohot lamba samajhte hain
Zindagi ka ek chhota sa maqsad hota hai
Hum jis ko bohot mushkil samajhte hain
Wo maqsad hai hi bus itna ke guzaro zindagi apne pyaron ke saath
Pyar o mohabbat ke saath
Na guzre koi din bagher us Allah ka shukar kiye
Na guzre koi raat bagher us Allah ki ibadat kiye
Jo likhta hai muqaddar usse sawal na karna ke kiun likha hai aisa
Hum ko to jeena hai bus wo chahta hai jaisa
Ajaye agar koi pareshani to uff na karna
Peron mein chube kaaton ko muskurahat se bardaasht karna
Aakhir yehi to hoti hai ek momin ki nishani
Jo chalta hai muskura kar chahay peron tale ho aag ya pani..

Comments

  • No Comments
Log Out?

Are you sure you want to log out?