Phir Se.... Read Count : 67

Category : Poems

Sub Category : N/A
Phir se chale Gaye na chor ke beech majhdaar mai hamesha ke tarah...
Phirrr se chale Gaye na chor ke beech majhdaar mai hamesha ke tarah...
Par...parrr
Iss baar no koi gila the na koi shikwa...
Tha tho bus ek sawal....tha tho bus ek sawal
Ke kyu zaroori tha vo sab karna jab jaana he tha...
Kyu zaroori tha vo intazaar karna jab jaana he tha
Kyu zaroori tha vo shiddat wale mohbaat karna jab Janna he tha....
Phir se chale Gaye na chor ke beech majhdaar mai hamesha ke tarah...
Aaj bhi yaad Tere aate hai....
Aaj bhi yaad Tere aate hai...
Uss pure Chand ko dekh Kar Jo Tera didaar karate hai...
Uss pehle barsat ko dekh Kar Jo Tera hone ka yakeen dilate hai
Unn hawao ke sparsh ka Jo Tere roh ke hone ka eahsaa karate hai...
Unn pholo ko dekh Kar his Mai se Tere mahak aaya karte hai...
Uss laal rang ko dekh Kar Jo humare Pyaar ko mukaddar karate hai...
Parrrrr

Phir se chale Gaye na chor ke beech majhdaar mai hamesha ke tarah...

Kon kehta hai Mai nahi tha....kon kehta hai Mai nahi tha...
Jab tujhe zaroorat the mere
Har dum har waqt Tere sath tha,
Har dum har waqt Tere kareeb tha,
Tujhe vo bhula tha aur humme rakeeb hona tha....
Phir se chale Gaye na chor ke beech majhdaar mai hamesha ke tarah...


Kon kenta hai hum bhul Gaye...kon kehta hai hum bhul Gaye
Is Dil ko Jo keval Tera he diya hua tha
Inn dharkano ko Jo kevel Tere liye he dharte the
Inn lafzo ko jispe kevel Tera he naam tha...
Inn nazro ko jismai keval tu he the..
Iss jism ko jispe keval Tera he haq tha .....

Aaunga zaroor Tere kabrah pe....aaunga zaroor Tere kabrah pe
Tere pasandida phoolo ko leka
Tere diye hue iss Dil ko lekar
Aur wada hai..aurrr wada hai
Iss baar hamesha ke liye...jannat ke ser.karane ke liye 
Beintann isaq Karne ke liye
kyuke....kyuke...
Iss baar naa jaat huge na dharam hoga aur nahe ye jaat dharam le daale hoge....
Hoge tho bus tu aur Mai 
Aur humara neswarth Pyaar...
Parr...Parr Kya pata fir se chale jao akele chor ke..........

Comments

  • No Comments
Log Out?

Are you sure you want to log out?