MAA Read Count : 118

Category : Poems

Sub Category : N/A
Uske liye main kya likhit jisne khud mujhe likha hai, raat raat jaag ke mujhe sulaya hai.
Mere aane se uski puri zindagi badal gayi fir usne khushi se apnaya hai, mere kuch bolne se pehle samajh jati hai, mere rone se ro uthti hai, ek maa hi to hai jo mere liye saare rishte naato se laddne ki himmat rakhti hai.
Par meri maa thodi alag hai, mere girne pe mujhe uthati nahi hai par mujhe khud uthne ki himmat deti hai, mere rone pe mujhe chup nahi karati magar chup hoke sabka saamne karne ki himmat deti hai, haan akele me roti hai par dikhati kabhi nahi, uske liye duniya ki har chiz ek taraf aur meri takleefe, meri khushi, mera pareshan hona ye sab ek taraf..
Haan dusri maao ki tarah mujhe bachati nahi hai lekin mujhe har kadam pe jeena seekhati hai, 
Thodi alag hai meri maa..jo girne k baad uthane ke jagah mujhe khud se uthna seekhati..
Kitni mushkil hai na maa ka role nibhana fir itne pyar se kaise nibhati hai..gusse me jaane kya kya nahi kaha maine kabhi usse par fir hass mujhe hasati hai..meri saari zarurto ka pata hai usko...mere bolne se pehle hi samjh jati hai..
Thodi alag si hai meri maa..mujhe khud jeena seekhaya, shayad aaj isiliye kisika sahara lena nahi pasand..meri maa to meri heroine hai..
Maa se zindagi hai, aur maa meri zindagi hai💟

Comments

  • 😊😏

    Nov 27, 2019

Log Out?

Are you sure you want to log out?