Category : Diary/Journal
Sub Category : N/A
Kehte hai hamari qismat hamare bare hamse jyada janti hai.hamesha hume hamari expectation se jayada hi deti hai par haan wo kabhi nahi deti jo hame usse chahiye hota hai.meri zindagi me bhi kuch asa hi hua mujhe wo mila jiski maine kabhi umeed nahi ki thi.mujhe aj bhi wo din yaad h apne hontho mein shabdo ko sammete logo ki bheed me bhi tanha mai, aankho mein chashma, blue printed shirt, pairo mein heels,mere fingers keyboard par, uppar se bilkul shant dikh rahi thi par shayad andar hazaaro sawal the mere bahut kuch chal rha tha mere man mein ,khud se naraaz thi mai, meri nazre to sirf mere kaam me thi par shyad unme koi sunnapan tha bheeni si meri palke bahut dino ki udaas thi. Charo taraf sirf or sirf shor tha mahol me hasi ke tahake the, usi bich us shor sharabe wali gali se guzarate hue kisi ke kadmo ke aahat ne meri kanno ki bali me hulchul ki.wo din or dino se kuch khass tha ek jaana pehchana anjaan chehra mere nazro ke pass tha..wo dhundli si tasveer jo 1st day se mere table ke notice board par lagi thi kuch likha tha usme shyad hazaar baar padha tha par phir bhi yaad nahi, kabhi socha nahi tha achanak woh tasveer mere chup si labbo ke samne haatho me khushiyon (sweets) ki saugaat lekar khadi ho jaiyegi..na chahte hue bhi inkaar na kar saki kabhi na pasand gulab jamun lekar uski khushiyon me sharikh hona hi pada..chupchupati nazron se baar baar usse dekhti jab nazre takrati toh chah kar bhi kuch bol na pati...kehte hai na hum jo nahi dekh sakte wo hmara dil dekh leta h ,actually hmare "dil ke andar bhi ek dil hota h jo sirf or sirf kisi khass k liye dhadakta hai" ,ye bhi mujhe kisi ne samjhaya tha..socha nahi tha ki ek casual si mulakat meri zindagi ke kitabo ka hissa banegi..kuch waqt apne gummo ko bhula kar hum sab log uski khushiyo me shamil hue..subah se sham hui hum saath the dur the par phir bhi pass the, lafz nahi par nazare takra rahi thi...baate kam hui par uski majudagi mujhe pura kar rahi thi ,kuch to tha hamare bich jo one sided nahi both side tha,uski smile meri smile se judne lagi thi uski sawal mere jawab milne lage the ek pal me wo apna sa ban gaya isi tarah sara din guzar gaya ..raat ayi, meri aankho ne uske khaab dekhne shuru bhi nahi kiye the ki mere dil ne bina meri marzi jane friend request bhej kar friendship ki shuruwat kar di.phir kya tha hamare shabd milne lage khayalat judne lage, bina puche mujhe lakho jawab mil jate ,wo bolta mai sunti maaza ane laga zindagi asaan lagne lagi,honth muskurate muskurate thakane lage aankho se neend udi sabkuch magical hone laga...subah uski text se shuru hone lagi or raat uski text par hi khatm hoti.teen dino tak yahi haal rha subah sham sab ek tha brush ki awaz tak match karne lagi thi..phir achanak mere sunepan ne mujhe dhoond hi liya khyal aya ek ajnabi mere itne close kaise aa gya text kiya usse 'apko nahi lgta hum kuch jyada close aa gye h '.phir hamare bich kamoshiyon ne jagah le li.next morning day 4th ki subah normal thi wo text wali baat nahi thi ,wo brush ki awaaz nahi thi sabkuch tha par uska saath nahi tha,mujhe wo chahiye dil se ek hi zidd aa rhi thi,par apneaap me khud ko samate kaano ko band kiye baithi mai.khub lada khud se samjhaya khud ko bhul jaiye usse, par baar baar meri suni ugliyaan text karti or mittati ye shilshila shaam tak chalta raha bechain man ko samjhati rahi,shayad jo mera haal tha wahi haal uska tha ,himmat kiya dil ki awaaz suni or phone lagaya ...switch off....ek pal aisa lga khud se khud ki saanse chin li maine aankho se aansu gir gir kar thak rahe the...raat 10 bje phone se beep aya tadpa dil jhat se dekha uska text labbo pe muskaan ,bht sari shikayate , kuch adhoore wade ,kuch atit ke kadwe sacch, apna sunapan ,gile shikwe,bahut sari baat hamare bich hui mera na manna, usse hamesha k liye harna ,uska zidd par addna , mjhe manana ,meri har marz ki dawa par marhum lgana, ye silsila puri raat chalta raha..iss paar or uss paar ki.ladai me jeet uski hui .mai haar kar bhi khush thi.usne bina kuch maange mujhse mera sabkuch le liya.mujhpe bina apna haq dikhaye apna sara haq mujhe de diya uske naam uska jo kuch tha mere samne rakh diya ..mera dil to pehle se uska tha ab mai bhi uski ho chuki thi..
Aj bhi guzre waqt ki yaade mere labbon par muskaan chodd jati hai.jo faisla kal liya tha aj us par garv hota hai.mujhe meri zindagi wapas mil gayi thi, usne mujhe hasna shikha diya tha meri har galti par mujhe apne lap par baitha kar kanno me pyaar se samjhta, chote baccho ki tarah mujhe chalna btata meri ungliyo ko tham kar aj tak mujhe sambhala hai.choti se choti badi se badi baate humne share ki hai na jaane kitni chai or dinner ka fasla humne in saalo me tay kiya h.hamare rishto ko na jaane kitni picturo me capture kiya hai ..kitne frames, kitne gift, kitni chocolate, kitni icecream, kitne restro,kitni movies,kitne rides,kitne flowers, kitne video calls, kitni texts, kitne calls milkar hamare rishto ka proof bane hai.aj bhi hamare pass ek dusre ko diya hua waqt(watches)hai.kehte hai sabse anmol gift diamond h jo is rishte ki nishani hai.hum do hokar bhi ek the..hamare bich koi raaz nahi tha koi past nahi tha sirf hamara pesent or future ki bade bade sapne the.usse kabhi kisi ki parwah nahi thi na samaj na log.puri duniyaa hamare khilaaf bas ek wo mere saath tha.uska shikhana mera shikhna chalta raha mandir or gurudwara ke bich ka rishta ab logon ko bhi dikhne lga tha.muskile bhi bahut si ayi thi kuch gairo ne galtfami ki diwaar banayi thi, logon ka samna karne se meri nazare bhi katrai thi par uska hoshla or himmat sabse lad kar mera saath nibhayi thi..pyaar ase hi nahi karti mai usse ,usne bhi apni izzat mere liye dubai thi, badnaam hona usse bhi manjur tha shart itni ki mere saath jeena or marna tha. aankho me uske koi daar nahi hm khush the ekdusre ke saath the .wo zindagi jo mai jee rahi thi wo uski di hui zindagi thi ...usse mujh par yakin tha or mujhe is yakin par yakin tha...meri manzil ab dur nahi......
Comments
- No Comments