
Category : Scripts
Sub Category : Movies
Baat un Dino ki hai jab bachpan ke bhi Kya din huaa Karte the ye 4 Dosto ki Kahani hai
School🏫 ka Pehla din ye 4 friends,
Samira, suhana, Fatima and Divya....
Sab apne parents ke saath aaye
Pehla din tha class me sab alag bethe class me teacher aaye Fir Pura din ho gya
ab ghar Jane samay Aise Karte session khatam ab toh Roz school aate sab khelna kudna saath Rehna sab shares karna ab 10 years ka lip
10th Aa Gaye.....
Puri School me in ke jaisi Dosti Kaha thi
Har ko apna Bana lena
Sab ke favorite
Turant faisla karna
Sabki help karna
Vo kehte Hena achi cheezo ache logo or ache Rishto ko nazar laga hi jati hai
Or nazar lag gai...
Fatima Muslim thi unke riwaz ke hisab se uski sagai kar di thi thi toh uski shadi 10th ke half me ho gai in 4 Dosti ko tola bikharne wala tha kuch samaj nahi Aa Raha tha sabke dil tut Gaye the...
Kyonki unki jaan besties unse alag hone wali thi ab vo hamesha ke liye abroad shift ho jayegi shadi ke ek din pehle vo sab se dur ek saath vo pal Jine ke liye nikal pare
Enjoy kiya hase Roye
Ab Fatima ki wedding
Vo abroad dubai chali gai
Exam the board ke kisi ka maan nhi lag Raha tha 3 ne milkar top kiya
Ab 10th Baad Divya ke papa sarkari job ke chalte Aehmdabad chale Gaye
Samira or suhana bhi apni apni study ko lekar alag ho Gaye.
Fatima ke Jane ke Baad jaise inka bachpan ka rishata tut hi gya....
Unka Contact hi tut gya
Lekin inka atut rishta unhe Fir se ek baar milvane me lag gya
Fatima ke husband Farhan ke dost ki wife Jo writer thi unki book Jo published ke liye India jana tha or Fatima dono classmates the Lekin vo Khabhi ek Dusre se mile nahi but Unka school ka class ka pyar usne un sab ko invite kiya puri class friends ko apni book publish ki party me invite kiya sab aaye....
Ye 4 ek Dusre se anjaan the
Ab Aakhir vo din Aa gya or Mumbai me ye party thi pure 7saal ke Baad mil rahe the
Ab party start ho gai book launch Hui sab Aa rahe sab bethe enjoy kar rahe itne me ek chota kids book daud kar aa Raha uske haath mese book gir gai Fir vo 4 Jo apne ek Dusre ke samne Bethi jhuk kar book uthane lagi toh Ky dekha ki Fatima divya Samira suhana suhana Fatima ek Dusre ko dekh aankho se aansu nikl pare 5mint tak dekhte rahe dhadk se ek Dusre ke gale mil kar rone lage ki emotional movement tha vahaa sab ke aankho me aansu Aa Gaye
janam ke bichre Aaj Aakar Yahaa mile
Clap Karte unke dost ki biwi ko dekh richa ko dekh sab shocking ho Gaye ek Dusre ka muh dekhne lage
Richa ne Kaha ki Raj hamesha jab bhi baate Karte toh vo Farhan ke ghar ki baate Karte ki usne bataya ke Farhan ki wife Fatima vo dubai shift ho Gaye or richa school me hamesha unki raivel me thi unhe pata tha ki ye 4jism ek jaan h or apni book ki launch India me karegi or sab ko in 4 friends forever ko bhi invite karke ek Dusre se milvaye gi sab happy ho gya ye 4 apne Pura Palo kho gai ye party khatam Fatima or richa bhi Airport par me flight me Beth kar chale Gaye or ye teeno bhi car me Beth kar apne apne home ke liye nikle ab toh WhatsApp ka Zamana whatsapp grp ban gya "friends forever"😊😊
Dur hokar bhi pass ho Gaye😊😊
Dost me Khuda
Dosti me Khuda....
Comments
- No Comments